SUHAG 1977 Songs, Lyrics & Video
![]() |
||
|
Thi Shubh Suhag Ki Raat
Singer: Manna Dey Album: Nai Umar Ki Nai Fasal 1965 |
Save As | |
Thi Shubh Suhag Ki Raat Lyrics
Song Lyrics Title = Thi Shubh Suhag Ki Raat
Movie/Album = Nai Umar Ki Nai Fasal (1965)
singer =Manna Dey
Song Lyricists = Neeraj Pathak
Music Composer = Roshanlal Nagrath
Director = R. Chandra
Mp3 Song Lyrics
((thii shubh suhaag kii raat madhur
madhu chhalak rahaa thaa kaN kaN mein
sapane jagate the naino mein
armaan machalate the man mein
sardaar magan man jhuum rahaa
pal pal har anga phaDakataa thaa
hoThon par pyas mahakatii thii
praNo mein pyar dhaDakataa thaa
tab hii ghungaaT mein muskaatii 2
pag payaal chham chham chhamakaatii
raNii antahapur mein aayii
kuchh sakuchhatii kuchh sharamatii
mehandii se haath rache dono
mathe par kumkum kaa Tiikaa
gora mukahDa muskaa de to
puunam ka chaand lage phiika
dheere se baDh ChuuDavat ne 2
raNii ka ghungaT paT kholaa
nas nas mein kaund gayi bijalii
piipal patte sa tan dola
adharo.n se adhar mile jab tak
lajja ke TuuTe chhanda bandha
raN bigul dvaar par guunj uTha 2
shanaaii ka svar hua mand
bhujbandhan bhulaa aalingan
aalingan bhuul gayaa chumban
chumban ko bhul gayii san.se
sason ko bhuul gayii dhaDkan
sajakar suhaag kii sej sajii 2
bolaa na yudha ko jaauunga
terii kajaraarii alakon mein
man motii aaj biThauungaa
pehle to raNii rahi maun
phir jvaljval sii bhaDak uThii
bin badaal bin barakhaa mano
kya bijalii koi taDap uThi
ghayaal naagan sii mohtaan
ghungaaT ukhaDhkar yun bolii
talvaar mujhe de do apanii
tum pahan raho chuDii cholii
pinjaDe mein koi band sher 2
kahataa tote se jaag uThe
kya aandhi andar liye
jaise pahaD se aag uThe
ho gaya khaDaa tan kar raNaa
hathon mein bhalaa uThaa liyaa
har har bam bam bam mahaadev 2
kah kar raN ko prasthaan kiyaa
dekhaa patii kaa viir vesh
pahle to raNii harshaaii
phir sahamii jhijhakii akulaii
aakhon mein badlii ghir aayii
badaal sii gayii jharokhe par 2
par kaTii hansanii thii adhiir
ghoDe par chaDha dikhaa raNaa
jaise kamaan par chaDha tiir
dono kii aankhe hui chaar
ChuDavat phir sudbud khoii
sandesh paThakar raNii ko
mangavayaa premchinha koi
sevak jaa pahunchaa mahalon mein
raNii se mangii tainaani
raNii jhijhakii phir chhiikh uThii
bolii kah de mar gayii raNii
le khaDga haath phir kahaa Thahar
le tainaani le tainaani
ambar bola le tainaani
dharatii bolii le tainaani
haThkar chandii kii thalii mein
sevak bhaagaa le tainaani
raNaa adhiir bolaa baDhakar
la la la la la tainaani
kapaDaa jab magar haTayaa to
rah gayaa khaDaa muuraat banakar
lahu lohaan raNii ka sir
hasataa tha rakhaa thalii par
sardaar dekh kar chiitkaar uThaa
haan raNii merii raNii
adbhut hai terii kurbaanii
tuu sach much hii hai kshtraaNii
phir ed lagayii ghoDe par
dharatii bolii jay ho jay ho
thaDi raNii terii jay ho
bharaat maa terii jay ho 4))
Posted by : {Anamika Tyagi}
SUHAG 1977 Video
A related video has not been stored for this result yet.
Featured Album
MP3 Song Annual List
2025
2024
2022
2021
2020
2019
2018
2017
2016
2015
2014
2013
2012
2011
2010
2009
2008
2007
2006
2005
2004
2003
2002
2001
2000
1999
1998
1997
1996
1995
1994
1993
1992
1991
1990
1989
1988
1987
1986
1985
1984
1983
1982
1981
1980
1979
1978
1977
1976
1975
1974
1973
1972
1971
1970
1969
1968
1967
1966
1965
1964
1963
1962
1961
1960
1959
1958
1957
1956
1955
1954
1953
1952
1951
1950
1949
1948
1947
1946
1945
1944
1943
1942
1941
1940
1939
1938
1937
1936
1935
1934
1933
1932
1885
1447
0




