Woh Bhooli Dastan I Lyrics, Singer & Song Details

Sanjog 1961 album cover

Sanjog 1961 Album Details

Pramod Chakravorty
None
None
Anita Guha, Pradeep Kumar, Shubha Khote

album songs
Woh Bhooli Dastan I
Singer : Lata Mangeshkar

Woh Bhooli Dastan I Lyrics

Song Title = Woh Bhooli Dastan I
Movie/Album = SANJOG
Singer(s) = Lata Mangeshkar

Mp3 Song Lyrics

((Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi .....[2]
Nazar ke saamne ghata si chhaa gayi .....[2]
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi

Kahan se phir chale aaye, yeh kuchh bhatke hue saaye
Yeh kuchh bhoole hue nagme, jo mere pyaar ne gaye
Yeh kuchh bhichhdi hui yaadein, yeh kuchh toote hue sapne
Paraaye ho gaye to kya, kabhi yeh bhi to the apne
Na jaane inse kyun milkar, nazar sharma gayi
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi
Nazar ke saamne ghata si chhaa gayi .....[2]
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi

Bade rangeen zamaane the, taraane hi taraane the
Magar ab poochhta hai dil, woh din the yaa fasaane the
Faqat ik yaad hai baaki, bas ik fariyaad hai baaki
Woh khusiyan loot gayi lekin, dil-ye-barbaad hai baaki
Kahan the zindagi meri, kahan par aa gayi
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi
Nazar ke saamne ghata si chhaa gayi......[2]
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi..))

Posted by : {Anamika Tyagi}

About Woh Bhooli Dastan I

Woh Bhooli Dastan I is a song from Sanjog 1961. It is sung by Lata Mangeshkar. Lyrics are credited to None. Music information: None. Read the lyrics above and view the Sanjog 1961 album song list for more songs and album details.