Watan Ki Raaha Main Lyrics, Singer & Song Details

Shaheed 1948 album cover

Shaheed 1948 Album Details

Ramesh Saigal
None
Raja Mehdi Ali Khan
Dilip Kumar, Kamini Kaushal

album songs
Watan Ki Raaha Main
Singer : Rafi, Khan Mastana

Watan Ki Raaha Main Lyrics

Song Title = Watan Ki Raaha Main
Movie/Album = Shaheed (1948)
Singers = Rafi, Khan Mastana
Lyrics = Raja Mehdi Ali Khan

Mp3 Songs Lyrics

((watan ki raah mein watan ke naujawaan shaheed ho
watan ki raah mein watan ke naujawaan shaheed ho
pukaarte hain ye zameen-o-aasmaan shaheed ho

shaheed teri maut hi
shaheed teri maut hi tere watan ki zindagi
tere lahu se jaag uthegi is chaman ki zindagi

khilenge phool us jagah pe tu jahaan shaheed ho,
khilenge phool us jagah pe tu jahaan shaheed ho,
watan ki raah mein watan ke naujawaan shaheed ho
watan ki raah mein watan ke naujawaan shaheed ho

ghulaam uth watan ke dushmanon se intaqaam le
in apne donon baajuon se khanzaron kaa kaam le
chaman ke waaste chaman ke baagbaan shaheed ho,
watan ki raah mein watan ke naujawaan shaheed ho
watan ki raah mein watan ke naujawaan shaheed ho

pahaad tak bhi kaanpne lage tere junoon se
tu aasmaan pe inqalaab likh de apne khoon se
khoon se
zameen nahin teraa watan hai aasmaan shaheed ho,
zameen nahin teraa watan hai aasmaan shaheed ho,
watan ki raah mein watan ke naujawaan shaheed ho
watan ki raah mein watan ke naujawaan shaheed ho

Part II

watan ki raah mein watan ke naujawaan shaheed ho
watan ki raah mein watan ke naujawaan shaheed ho
pukaarte hain ye zameen-o-aasmaan shaheed ho
watan ki raah mein watan ke naujawaan shaheed ho

watan ki laaj jisko thi
watan ki laaj jisko thi azeej apni jaan se
wo naujwaan jaa rahaa hai aaj kitni shaan se
is ik jawaan ki khaak par har ik jawaan shaheed ho
watan ki raah mein watan ke naujawaan shaheed ho

hai kaun khushnaseeb maan ki jiskaa ye chiraagh hai
chiraagh hai
wo khushnaseeb hai kahaan ye jiske sar kaa taaj hai
amar wo desh kyun na ho ki tu jahaan shaheed ho,
watan ki raah mein watan ke naujawaan shaheed ho

shaheed teri maut hi tere watan ki zindagi
tere lahu se jaag uthegi is chaman ki zindagi
zindagi
khilenge phool us jagah pe tu jahaan shaheed ho,
watan ki raah mein watan ke naujawaan shaheed ho
watan ki raah mein watan ke naujawaan shaheed ho

shaheedon ki chitaaon par lagenge har baras mele
watan pe mitne waalon ka yahi naam o nishaan hogaa...))

Posted by : {Ritu Kesharwani}

About Watan Ki Raaha Main

Watan Ki Raaha Main is a song from Shaheed 1948. It is sung by Rafi, Khan Mastana. Lyrics are credited to Raja Mehdi Ali Khan. Music information: None. Read the lyrics above and view the Shaheed 1948 album song list for more songs and album details.