Tu Junooniyat Hai Lyrics, Singer & Song Details

Junooniyat 2016 album cover

Junooniyat 2016 Album Details

Vivek Agnihotri
Jeet Ganguly
Manoj Muntashir
Pulkit Samrat, Yami Gautam, Gulshan Devaiah, Hrishita Bhatt

album songs
Tu Junooniyat Hai
Singer : Manoj Muntashir, Shrey Singhal

Tu Junooniyat Hai Lyrics

Song Title = Tu Junooniyat Hai
Movie/album = Junooniyat (2016)
Singers = Manoj Muntashir, Shrey Singhal
Song Lyricists = Manoj Muntashir
Music Director = Jeet Ganguly
Director = Vivek Agnihotri

Mp3 Song Lyrics

((Mere dil ke ye tukde hain
Nigaahon se chunu yaara
Mohabbat ki kahani hai
Mohabbat se suno yaara

Main aaya hoon tere dar pe
Toh ab jaana nahi hoga
Jiyunga yaa marunga main
Jo hona hai yahin hoga

Kehta hoon main beshaaq sa
Sun le ye mera khuda

Tera ishq hai meri saltanat
Tu zidd meri, tu junooniyat
Main hoon dil jala, mujhe teri lat
Tu zidd meri, tu junooniyat, wo..

Kitabon mein padha tha ye
Khuda ko pyaar hai pyara
Kiya jo pyaar humne toh
Hua dushman jahan saara

Thukra diya maine ye jahan
Le aaj tujhko chuna

Tera ishq hai meri saltanat
Tu zidd meri, tu junooniyat
Main hoon dil jala, mujhe teri lat
Tu zidd meri, tu junooniyat, wo..

Badi khush rang thi woh shamein
Bada roshan savera tha
Woh kya khoya jise chaha
Woh kyun bichda jo mera tha
Jin aankhon mein main rehta tha
Un aankhon mein hai paani kyun
Nahi badla kahi kuch bhi
Main tera tha, main tera hoon

Udd ke zara tu dekh le
Itni si hai ilteja

Tera ishq hai meri saltanat
Tu zidd meri, tu junooniyat
Main hoon dil jala, mujhe teri lat
Tu zidd meri, tu junooniyat, wo..))

Posted By : {Soni Kumari}

About Tu Junooniyat Hai

Tu Junooniyat Hai is a song from Junooniyat 2016. It is sung by Manoj Muntashir, Shrey Singhal. Lyrics are credited to Manoj Muntashir. Music information: Jeet Ganguly. Read the lyrics above and view the Junooniyat 2016 album song list for more songs and album details.