Teri Nazar Ne Kiya Kya Lyrics, Singer & Song Details

Jaalsaaz 1969 album cover

Jaalsaaz 1969 Album Details

Mohammed Hussain, Aravind Sen
G S Kohli
Farooq Qaiser
Bambi, Bela Bose, Helen

album songs
Teri Nazar Ne Kiya Kya
Singer : Asha Bhosle, Mohammed Rafi

Teri Nazar Ne Kiya Kya Lyrics

Song Title = Teri Nazar Ne Kiya Kya Ishara
Movie or Album = Jaal Saaz (1969)
Singer = Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Song Lyricists = Farooq Qaiser
Music Director = G S Kohli
Director = G.S. Kohli

Mp3 Song Lyrics

((mili nigah tujhse kaise mili kya kahiye
haye
ye aaj dekh liya hamne
kayamat kya hai

haye teri najar ne kiya kya ishara
haye dil hamara raha na hamara
are ye kya
are kya gazab ho gaya
haye teri najar ne kiya kya ishara
haye dil hamara raha na hamara
are ye kya
are kya gazab ho gaya
teri najar ne kiya kya ishara

ye sahmi sahmi nigahe
ye sahmi sahmi nigahe
ye bahki bahki kuwari ada
mathe pe chalka pasina
kya pyar ki barsi pahli ghata
mathe pe chalka pasina
kya pyar ki barsi pahli ghata
tune kaisi aankh milai
kaise dil me aag lagai
oye mai to mar gayi ram duhai
mathe se ye pauch le re pasina
is pyar me hoga mar marke jina
are ye kya
are kya gazab ho gaya
are teri najar ne kiya kya ishara

dil ko to kitna sambhala
dil ko to kitna sambhala
lekin chale jor dil pe kaha
ye umar haye ye jawani
gumrah kisko na karde yaha
ye umar haye ye jawani
gumrah kisko na karde yaha
tera rup jiya tarsaye
tera pyar bada tadpaye
haye chain kahi na aaye
diwane kya tere dil me samayi
tune ye kya meri halat banai
are tauba
are tauba gazab ho gaya
teri najar ne kiya kya ishara
haye dil hamara raha na hamara
are ye kya
are kya gazab ho gaya
teri najar ne kiya kya ishara...))

Posted by : {Anamika Tyagi}

About Teri Nazar Ne Kiya Kya

Teri Nazar Ne Kiya Kya is a song from Jaalsaaz 1969. It is sung by Asha Bhosle, Mohammed Rafi. Lyrics are credited to Farooq Qaiser. Music information: G S Kohli. Read the lyrics above and view the Jaalsaaz 1969 album song list for more songs and album details.