Teri Aankh Ka Jo Ishara Lyrics, Singer & Song Details

Nai Roshni 1967 album cover

Nai Roshni 1967 Album Details

C. V. Sridhar
Ravi Shankar Sharma
Rajendra Krishan
Ashok Kumar, Mala Sinha, Raaj Kumar

album songs
Teri Aankh Ka Jo Ishara
Singer : Mohammed Rafi

Teri Aankh Ka Jo Ishara Lyrics

Song Title = Teri Aankh Ka Jo Ishara
Movie/album = Nai Roshni (1967)
Singers = Mohammed Rafi
Song Lyricists = Rajendra Krishan
Music Composer = Ravi Shankar Sharma
Director = C.V. Sridhar
Music Label = Saregama

Mp3 Song Lyrics

((Teri aankh ka jo ishara na hota
To bismil kabhi dil hamara na hota
Teri aankh ka jo ishara na hota
To bismil kabhi dil hamara na hota
Teri aankh ka

Agar phul teri hasi na churate
To bechare bago ke dil tut jate
Agar phul teri hasi na churate
To bechare baago ke dil tut jate
Chaman ki ye mehfil na aabad hoti
Baharo ka aisa nazara na hota
Teri aankh ka jo ishara na hota
To bismil kabhi dil hamara na hota
Teri aankh ka

Na hote agar gesuo ke ye saye
Kaha jate ham chot dil ki dabaye
Na hotey agar gesuo ke yeh saye
Kaha jate ham chot dil ki dabaye
Mohabbat ka rahi bhatakta hi rehta
Teri zulf ka jo sahara na hota
Teri aankh ka jo ishara na hota
To bismil kabhi dil hamara na hota
Teri aankh ka

Tera sath hai to safar hai suhana
Teri hi badaulat haseen hai zamana
Tera saath hai to safar hai suhana
Teri hi badaulat hasin hai zamana
Agar hath mei tera daman na aata
Kahi bhi hamara guzara na hota
Teri aankh ka jo ishara na hota
To bismil kabhi dil hamara na hota
Teri aankh ka.))

Posted by : {Anamika Tyagi}

About Teri Aankh Ka Jo Ishara

Teri Aankh Ka Jo Ishara is a song from Nai Roshni 1967. It is sung by Mohammed Rafi. Lyrics are credited to Rajendra Krishan. Music information: Ravi Shankar Sharma. Read the lyrics above and view the Nai Roshni 1967 album song list for more songs and album details.