Tere Paas Aake Mera Waqt Lyrics, Singer & Song Details

Neela Akash 1965 album cover

Neela Akash 1965 Album Details

Rajendra Bhatia
Madan Mohan Kohli
Raja Mehdi Ali Khan
Dharmendra, Mala Sinha, Shashikala

album songs
Tere Paas Aake Mera Waqt
Singer : Asha Bhosle, Mohammed Rafi

Tere Paas Aake Mera Waqt Lyrics

Song Title = Tere Paas Aa Ke Mera Waqt
Movie/album = Neela Aakash (1965)
Singers = Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Song Lyricists = Raja Mehdi Ali Khan
Music Director = Madan Mohan Kohli
Director = Rajendra Bhatia

Mp3 Song Lyrics

((tere paas aa ke
mera waqt guzar jaata hai
tere paas aa ke
mera waqt guzar jaata hai
do ghadi ke liye
gham jaane kidhar jaata hai
jab kabhi door se tu mujh ko nazar aata hai
pyaar hans kar meri aankhon mein sanwar jaata hai
tere paas aa ke mera
waqt guzar jaata hai

tu wohi hai jise
iss dil ne sadaayen di hain
tu wohi hai jise
iss dil ne sadaayen di hain
tu wohi hai jise
nazron ne duaayen di hain
tu wohi hai ke jo
dil le ke mukar jaata hai
do ghadi ke liye
gham jaane kidhar jaata hai
tere paas aa ke mera
waqt guzar jaata hai

jaam itne teri masti bhari aankhon se piye
aaaa
jaam itne teri masti bhari aankhon se piye
bekhudi mein tujhe sajde meri nazron ne kiye
tere jalwon mein khudaa
mujhko nazar aata hai
pyaar hans kar meri
aankhon mein sanwar jaata hai
tere paas aa ke mera
waqt guzar jaata hai

teri yaadon se main
ghabraa ke chali aati hoon
teri yaadon se main
ghabraa ke chali aati hoon
main har ek qaid ko
thukraa ke chali aati hoon
main nahin aati
mujhe pyaar idhar laata hai
pyaar hans kar meri
aankhon mein sanwar jaata hai
do ghadi ke liye gham jaane kidhar jaata hai
tere paas aa ke
mera waqt guzar jaata hai))

Posted by : {Anamika Tyagi}

About Tere Paas Aake Mera Waqt

Tere Paas Aake Mera Waqt is a song from Neela Akash 1965. It is sung by Asha Bhosle, Mohammed Rafi. Lyrics are credited to Raja Mehdi Ali Khan. Music information: Madan Mohan Kohli. Read the lyrics above and view the Neela Akash 1965 album song list for more songs and album details.