Tere Khayal Ki Lyrics, Singer & Song Details

Leela 2002 album cover

Leela 2002 Album Details

Somnath Sen
Jagjit Singh
Abbas Tyrewala, Gulzar, Nida
Dimple Kapadia, Deepti Naval, Vinod Khanna

album songs
Tere Khayal Ki
Singer : Jagjit Singh

Tere Khayal Ki Lyrics

Song Title = Tere khayaal ki
Movie/Album = LEELA (2002)
Singer(s) = JAGJIT SINGH
Lyricist = Abbas Tyrewala, Gulzar, Nida Fazli
Music Director = Shantanu Moitra, Jagjit Singh

Mp3 Song Lyrics

((Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain -2
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain
Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain

Bade itafaak se milte hain milne waale mujhe -2
Woh mere dost hai, teri wafa mein jeete hain
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain
Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain

Firaaq-e-yaar mein saanson ko rok ke rakhte hain -2
Harek lamha guzarti qaza mein jeete hain
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain
Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain

Na baat poori huwi thi, ke raat toot gayi -2
Adhure khwaab ki aadhi saza mein jeete hain
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain
Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain

Tumhaari baaton mein koyi masiha basta hai -2
Haseen labon se barasti shabha mein jeete hain
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain
Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain))

Posted by : {Anamika Tyagi}

About Tere Khayal Ki

Tere Khayal Ki is a song from Leela 2002. It is sung by Jagjit Singh. Lyrics are credited to Abbas Tyrewala, Gulzar, Nida. Music information: Jagjit Singh. Read the lyrics above and view the Leela 2002 album song list for more songs and album details.