Tere Chehre Mein Woh Lyrics, Singer & Song Details

Dharmatma 1975 album cover

Dharmatma 1975 Album Details

Feroz Khan
Anandji, Kalyanji
Indeevar
Feroz Khan, Hema Malini, Nazir Hussain, Premnath, Imtiaz Khan, Rekha, Farida Jal

album songs
Tere Chehre Mein Woh
Singer : Kishore Kumar

Tere Chehre Mein Woh Lyrics

Song Title = Tere Chehre Mein Woh
Movie/Album = Dharmatma 1975
Singer(s) = Kishore Kumar
Lyricist = Indeevar
Music = Kalyanji, Anandji

Mp3 Song Lyrics

((Tere Chehre Mein Vo Jaadu Hai, Bin Dor Khincha Jaata Hoon
Jaana Hota Hai Aur Kahin, Teri Oar Chala Aata Hoon

Jab Se Tujhko Dekha Hai, Dekh Ke Khuda Ko Maana Hai
Maanke Dil Ye Kehta Hai, Meri Khushiyon Ka Tu Hai Khazaana
Dede Pyar Ki Manzoori, Karde Kami Meri Poori
Tujhse Thodisi Doori, Mujhe Karti Hai Deewana
Paana Tujhko Mushkil Hi Sahi, Paane Ko Machal Jaata Hoon
Tere Chehre Mein Vo Jaadu Hai...

Teri Heere Jaisi Aankhen, Aankhon Mein Hai Laakhon Baatein
Baaton Mein Ras Ki Barsaatein, Mujhmein Pyaar Ki Pyaas Jagaayen
Tu Jo Ek Nazar Daale, Ji Uththein Marne Waale
Hoth Tere Amrit Ke Pyaale, Mujhmein Jeene Ki Aas Badhaayein
Chal Padte Hain Tere Saath Kadam, Maein Rok Nahin Paata Hoon
Tere Chehre Mein Vo Jaadu Hai...))

Posted by : {Anamika Tyagi}

About Tere Chehre Mein Woh

Tere Chehre Mein Woh is a song from Dharmatma 1975. It is sung by Kishore Kumar. Lyrics are credited to Indeevar. Music information: Anandji, Kalyanji. Read the lyrics above and view the Dharmatma 1975 album song list for more songs and album details.