Phir Na Kije Meri Gustakh Lyrics, Singer & Song Details

Phir Subha Hogi 1958 album cover

Phir Subha Hogi 1958 Album Details

Ramesh Saigal
Mohammed Zahur Khayyam
Sahir Ludhianvi
Raj Kapoor, Mala Sinha, Mubarak

album songs
Phir Na Kije Meri Gustakh
Singer : Asha Bhosle, Mukesh

Phir Na Kije Meri Gustakh Lyrics

Song Title = Phir Na Kije Meri Gustakh
Movie/Album = Phir Subah Hogi (1958)
Singers = Asha Bhosle, Mukesh
Song Lyricists = Sahir Ludhianvi
Music Director = Mohammed Zahur Khayyam
Director = Ramesh Saigal

Mp3 Song Lyrics

(( phir na kije meri gustakh nigahi ka gila
dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujhko
mai kaha tak na nigaho ko palatne deti
aap ke dil ne kai baar pukara mujhko

is kadar pyar se dekho na hamari janib
dil agar aur machal jaye to mushkil hogi
tum jaha meri taraf dekh ke ruk jaaoge
vohi manjil meri taqadir ki manjil hogi
dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujhko
aap ke dil ne kai baar pukara mujhko

ek yunhi si nazar dil ko jo chhu leti hai
kitne armaan jagati hai tumhe kya maalum
ruh bechain hai kadmo se lipatne ke liye
tumko har saans bulati hai tumhe kya maalum
dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujhko
aap ke dil ne kai baar pukara mujhko

har nazar aap ki jazbaat ko uksati hai
mai agar hath pakad lu to khafa mat hona
meri duniya-e-mohabbat hai tumhare dam se
meri duniya-e-mohabbat se juda mat hona
dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujhko
aap ke dil ne kai baar pukara mujhko.))

Posted By : {Anamika Tyagi}

About Phir Na Kije Meri Gustakh

Phir Na Kije Meri Gustakh is a song from Phir Subha Hogi 1958. It is sung by Asha Bhosle, Mukesh. Lyrics are credited to Sahir Ludhianvi. Music information: Mohammed Zahur Khayyam. Read the lyrics above and view the Phir Subha Hogi 1958 album song list for more songs and album details.