Papa Kehate Hain Lyrics, Singer & Song Details

Qayamat Se Qayamat Tak 1988 album cover

Qayamat Se Qayamat Tak 1988 Album Details

Mansoor Khan
Anand Shrivastav, Milind
Majrooh Sultanpuri
Aamir Khan, Juhi Chawla, Dalip Tahil, Alok Nath

album songs
Papa Kehate Hain
Singer : Udit Narayan

Papa Kehate Hain Lyrics

Song Title = Papa Kehate Hain
Movie/Album = Qayamat Se Qayamat Tak 1988
Singers = Udit Narayan
Song Lyricists = Majrooh Sultanpuri
Music Composer = Anand Shrivastav, Milind Shrivastav
Director = Mansoor Khan

Mp3 Song Lyrics

((Papa kehte hain bada naam karega
Beta hamara aisa kaam karega
Magar yeh to koi na jaane
Ki meri manzil hai kahan

Papa kehte hain bada naam karega
Beta hamara aisa kaam karega
Magar yeh to koi na jaane
Ki meri manzil hai kahan
Papa kehte hain bada naam karega

Baithe hain milke sab yaar apne
Sabke dilon mein armaan yeh hai
Baithe hain milke sab yaar apne
Sabke dilon mein armaan yeh hai
Wo zindagi mein kal kya banega
Har ek nazar ka sapna yeh hai
Koi engineer ka kaam karega
Business mein koi apna naam karega
Magar yeh to koi na jaane
Ki meri manzil hai kahan
Papa kehte hain bada naam karega

Mera to sapna hai ek chehra
Dekhe jo usko jhoome bahar
Mera to sapna hai ek chehra
Dekhe jo usko jhoome bahar
Gaalon mein khilti kaliyon ka mausam
Aankhon mein jaadu honthon mein pyaar
Banda ye khoobsurat kaam karega
Dil ki duniya mein apna naam karega
Meri nazar se dekho to yaaron
Ki meri manzil hai kahan
Papa kehte hain bada naam karega...))

Posted by : {Ritu Kesharwani}

About Papa Kehate Hain

Papa Kehate Hain is a song from Qayamat Se Qayamat Tak 1988. It is sung by Udit Narayan. Lyrics are credited to Majrooh Sultanpuri. Music information: Anand Shrivastav, Milind. Read the lyrics above and view the Qayamat Se Qayamat Tak 1988 album song list for more songs and album details.