Nazar Utha Ke Ye Rangin Lyrics, Singer & Song Details

Ek Saal Pahle 1965 album cover

Ek Saal Pahle 1965 Album Details

Dharam Kumar
None
Akhtar Sheerani
Sujit Kumar, Sayeeda Khan, K.N. Singh

album songs
Nazar Utha Ke Ye Rangin
Singer : Suman Kalyanpur, Talat Mahmood

Nazar Utha Ke Ye Rangin Lyrics

Song Title = Nazar Utha Ke Ye Rangin
Song Lyrics Movie = Ek Saal Pahle (1965)
Singers = Suman Kalyanpur, Talat Mahmood
Song Lyricists = Akhtar Sheerani

Mp3 Song Lyrics

((Nazar utha ke ye rangeen sama rahe na rahe
Kareeb aaa ke ye mausam jawaan rahe na rahe
Zamaana aaj hai kal meharbaan rahe na rahe
Nazar utha ke ye rangeen sama rahe na rahe

Kareeb aao to kambakht dil dhadaktaa hai
Kareeb aao
Kareeb aao to kambakht dil dhadaktaa hai
Kadam kadam pe koi jaise mujhko taktaa hai
Ye raaz tere mere darmiyaan rahe na rahe
Zamaana aaj hai kal meharbaan rahe na rahe
Nazar utha ke ye rangeen sama rahe na rahe
Aaa aaa aaa aaa aaa aaa aaa aaa

Dilon mein rang nigaahon mein roshni bhar ley
Dilon mein rang nigaahon mein roshni bhar ley
Zaraa si der to baahon mein zindagi bhar ley
Zaraa si der to baahon mein zindagi bhar ley
Kisse khabar hai ke hum kal yahaan rahe na rahe
Zamaana aaj hai kal meharbaan rahe na rahe
Kareeb aa ke ye mausam jawaan rahe na rahe

Khile hain phool dilon ke khuli hawaon mein
Khile hain phool
Khile hain phool dilon ke khuli hawaon mein
Basee rahegi ye khushboo sadaa fizaon mein
Zameen rahe na rahe aasmaan rahe na rahe
Zamaana aaj hai kal meharbaan rahe na rahe...))

Posted by : {Anamika Tyagi}

About Nazar Utha Ke Ye Rangin

Nazar Utha Ke Ye Rangin is a song from Ek Saal Pahle 1965. It is sung by Suman Kalyanpur, Talat Mahmood. Lyrics are credited to Akhtar Sheerani. Music information: None. Read the lyrics above and view the Ek Saal Pahle 1965 album song list for more songs and album details.