Miya Mera Bada Beimaan Lyrics, Singer & Song Details

Ek Saal 1957 album cover

Ek Saal 1957 Album Details

Devendra Goel
Ravi Shankar Sharma
Prem Dhawan
Ashok Kumar, Madhubala, Johnny Walker

album songs
Miya Mera Bada Beimaan
Singer : Geeta Dutt, S.Balbir

Miya Mera Bada Beimaan Lyrics

Song Title = Miya Mera Bada Beiman
Song Lyrics Movie = Ek Saal (1957)
Singers = Geeta Dutt, S.Balbir
Song Lyricists = Prem Dhawan
Music By = Ravi Shankar Sharma

Mp3 Song Lyrics

((Arre suno re suno re suno
Suno re suno re suno suno re
Are koi mat suno bhai
Ye zara ghar ka maamla hai

Miyaan mera bada beimaan
Meri nikli re kismat khoti
Ke haay main to mar gayi re
Sad gayi re
Main kiske palle pad gayi re

Biwi meri badi meharmaan
Mujhe mile na ghar me roti
Ye roz kare khatpat re
Kahe pare hat re
Mere peeche peeche daude
Dekho liye lathh re

Mere baap ki khaaye tu kamaayi re balam
Baitha ghar me tu ban ke jamaai re balam
Toone aisi kari safaai re balam
Na lotaa raha na thaali
Are wah meri gharwaali
Shauhar hoon tera naukar to nahin
Johny walker hoon joker to nahin
Tu biwi meri daftar to nahin
Zaraa sochh ke denaa gaali
Haan

Koi ise samjhaao re logon
Akal hai iski moti
Ye roz kare khatpat re
Kahe pare hat re
Mere peeche peeche daude
Dekho liye lathh re
Miyaan mera bada beimaan
Meri nikli re kismat khoti
Ke haay main to mar gayi re
Sad gayi re
Ye kiske palle pad gayi re

Main aa gayi tujh se tang re
Tu roz kare hai jang re
Ab rahoon na tere sang re
Tu kaahe badaa nikhattoo
Hmm hmm hmm hmm
Bigadti kyun ho
Maana ke ham hain nikhattoo
Phir bhi tum par hain lattoo
Jab tak the kunwaare achche the
Ab to bhaade ke tattoo

Chaahe lagaa de phaansi hamko
Daal gale me topi
Haay haay
Main to mar gayi re
Sad gayi re
Ye kiske palle pad gayi re
Biwi meri badi meharmaan
Mujhe mile na ghar me roti
Ye roz kare khatpat re
Kahe pare hat re
Mere peeche peeche daude
Dekho liye lathh re

Miyaa mera badaa
Meharbaan
Nahin iski kismat phooti
Ke ab nahin khatpat re
Hato jhatpat re
Arre jaao bhai ghar jaao chatpat re
Miyan mera
Biwi meri
O miya mera
Biwi meri...))

Posted by : {Anamika Tyagi}

About Miya Mera Bada Beimaan

Miya Mera Bada Beimaan is a song from Ek Saal 1957. It is sung by Geeta Dutt, S.Balbir. Lyrics are credited to Prem Dhawan. Music information: Ravi Shankar Sharma. Read the lyrics above and view the Ek Saal 1957 album song list for more songs and album details.