Meri Neendon Mein Tum Lyrics, Singer & Song Details

Naya Andaz 1956 album cover

Naya Andaz 1956 Album Details

O P Nayyar
Jan Nisar Akhtar

album songs
Meri Neendon Mein Tum
Singer : Kishore Kumar, Shamshad Begum

Meri Neendon Mein Tum Lyrics

Song Title = Meri Neendo Main Tum
Movie/Album = NAYA ANDAAZ
Singer(s) = Kishore Kumar, Shamshad Begum
Song Lyricists = Jan Nisar Akhtar
Music Director = Omkar Prasad Nayyar
Director = K. Amarnath

Mp3 Song Lyrics

((ki = (meri neendon mein tum, mere Khvaabon mein tum
ho chuke ham tumhaari mohabbat mein gum ) - 2

sh = (man ki binaa ki dhun, tu balam aaj sun
meri nazron ne tujh ko liyaa aaj chun ) - 2
man ki binaa ki dhun, tu balam aaj sun

sh = (meri dil ki lagi tu, meri zindgi tu
meri har nazar hai teri daastaaN ) - 2
ki = (mere dil ki bahaaren tumhi ko pukaaren
tumhi se hai aabaad meraa jahaaN ) - 2
sh = tu meraa naaz hai, meraa andaaz hai, dil ki aavaaz hai
ki = meri neendon mein tum, mere Khvaabon mein tum
ho chuke ham tumhaari mohabbat mein gum

sh = (man ki binaa ki dhun, tu balam aaj sun
meri nazron ne tujh ko liyaa aaj chun ) - 2
man ki binaa ki dhun, tu balam aaj sun

sh = dil pe chhaayee Khushi hai labon par hansi hai
khili hai tere pyaar ki chaaNdni
ki = ghoomti hai niGahen nashaa chhaa rahaa hai
ke dil gaa rahaa hai teri raagini
sh = hole hole sajan meraa kahtaa hai mann
ab to laagi lagan
ki = meri neendon mein tum, mere Khvaabon mein tum
ho chuke ham tumhaari mohabbat mein gum
sh = man ki binaa ki dhun, tu balam aaj sun

sh = tum mere ho gaye ho to ye chaaNd taare
ye saare nazaare mere ho gaye
ki = dil huaa hai deevaanaa samaa hai suhaanaa
kahen kyaa tere pyaar mein kho gaye
sh = raat gaane lagi gungunaane lagi
neend chaane lagi
ki = meri neendon mein tum, mere Khvaabon mein tum
ho chuke ham tumhaari mohabbat mein gum
sh = man ki binaa ki dhun, tu balam aaj sun))

Posted By : {Anamika Tyagi}

About Meri Neendon Mein Tum

Meri Neendon Mein Tum is a song from Naya Andaz 1956. It is sung by Kishore Kumar, Shamshad Begum. Lyrics are credited to Jan Nisar Akhtar. Music information: O P Nayyar. Read the lyrics above and view the Naya Andaz 1956 album song list for more songs and album details.