Main Hun Kya Mere Khuda Lyrics, Singer & Song Details

Youngistaan 2014 album cover

Youngistaan 2014 Album Details

Syed Ahmad Afzal
Shiraz Uppal
Shakeel Sohail
Jackky Bhagnani, Neha Sharma, Farooq Sheikh, Kayoze Irani

album songs
Main Hun Kya Mere Khuda
Singer : Shiraz Uppal

Main Hun Kya Mere Khuda Lyrics

Song Title = Main Hun Kya Mere Khuda
Movie/album = Youngistaan (2014)
Singers = Shiraz Uppal
Song Lyricists = Shakeel Sohail
Music Director = Shiraz Uppal
Director = Syed Ahmad Afzal

Mp3 Song Lyrics

((Jism is tarah, dard se bhara
Rooh ki koi bachi nahin jagah
Pyaar dhaal tha, magar main dhaal sa
Mujhe hi loot thi, rahi meri panaah

Dheere dheere jal raha
Jal ke pighal raha
Behta chala hai dil mera

Main hun kya, mere khuda..
Kaatun main kyun ye sajah
Piya..a..kaahe pehle milaaye,
Jab akhir ye judaai hai
Dil se kyun khele bataa

Dekh pyaasi hai jaan
Hai udaasi yahan
Khaali khaali jahaan
Bewajah har samaa

Lab sukhe sukhe
Raina bheege bheege
Rootha rootha sa mann
Jis tan laage, aisi bekarari
Jaane bas wohi tann

Uljha hun main kab se, suljha
Main hun kya, mere khuda..
Kaatun main kyun ye sajah
Piya..a..kaahe pehle milaaye,
Jab akhir ye judaai hai
Dil se kyun khele bataa

Haar maane nahin, bewajah sa yakeen
Yaar toh hai kahin, be-naseebi yahin
Kaise main bhulaaun, ya main bhool jaaun
Beeta hua mera kal
Kahan chala jaaun, dhoond laaun
Pyare apne woh pal

Tune kabhi kya ye socha
Main hun kya, mere khuda..
Kaatun main kyun ye sajah
Piya..a..kaahe pehle milaaye,
Jab akhir ye judaai hai
Dil se kyun khele bataa.))

Posted by : {Anamika Tyagi}

About Main Hun Kya Mere Khuda

Main Hun Kya Mere Khuda is a song from Youngistaan 2014. It is sung by Shiraz Uppal. Lyrics are credited to Shakeel Sohail. Music information: Shiraz Uppal. Read the lyrics above and view the Youngistaan 2014 album song list for more songs and album details.