Khumari Chad Ke Utar Lyrics, Singer & Song Details

Umar 2006 album cover

Umar 2006 Album Details

Karan Razdan
Shamir Tandon
Shaily Shailender
Jimmy Shergill, Shenaz Treasurywala, Kader Khan, Prem Chopra, Satish Kaushik, Da

album songs
Khumari Chad Ke Utar
Singer : Jagjit Singh

Khumari Chad Ke Utar Lyrics

Song Title = Khumari Chad Ke Utar
Movie/Album = Umar (2006)
Singers = Jagjit Singh
Song Lyricists = Shaily Shailender
Music Director = Shamir Tandon
Director = Karan Razdan

Mp3 Song Lyrics

((Khumari chadh ke utar gayi zindagi yun hi gujar gayi
Khumari chadh ke utar gayi zindagi yun hi gujar gayi
Kabhi sote sote kabhi jaagte khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
Apni toh saari umar gayi, apni toh saari umar gayi
Khumari chadh ke utar gayi zindagi yun hi gujar gayi

Rangeen bahaaron ki khwaahish rahi haath magar kutch aaya nahi
Rangeen bahaaron ki khwaahish rahi haath magar kutch aaya nahi
Kehne ko apne the saathi kai
Saath kisine nibhaya nahi, saath kisine nibhaya nahi
Koi bhi hamsafar nahi kho gayi har dagar kahi
Kabhi sote sote kabhi jaagte
Khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte apni toh saari umar gayi
Khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte apni toh saari umar gayi
Khumari chadh ke utar gayi zindagi yun hi gujar gayi

Logon ko aksar dekha hai ghar ke liye rote hue
Logon ko aksar dekha hai ghar ke liye rote hue
Ham toh magar beghar hi rahe gharwalon ke hote hue
Ham toh magar beghar hi rahe gharwalon ke hote hue
Aaya apna nazar nahi, aaya apna nazar nahi
Apni jahaa tak nazar gayi kabhi sote sote kabhi jaagte
Khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
Apni toh saari umar gayi, apni toh saari umar gayi
Khumari chadh ke utar gayi zindagi yuhi gujar gayi

Pehle toh ham sun lete the shor mein bhi shehnaaiya
Pehle toh ham sun lete the shor mein bhi shehnaaiya
Ab toh hamko lagti hai
Bheed mein bhi tanhaaiya jeene ki hasrat kidhar gayi
Jeene ki hasrat kidhar gayi
Dil ki kali bikhar gayi kabhi sote sote kabhi jaagte
Khwaabon ke pichhe yu hi bhaagteapni toh saari umar gayi
Apni toh saari umar gayi
Khumari chadh ke utar gayi zindagi yun hi gujar gayi.))

Posted by : {Anamika Tyagi}

About Khumari Chad Ke Utar

Khumari Chad Ke Utar is a song from Umar 2006. It is sung by Jagjit Singh. Lyrics are credited to Shaily Shailender. Music information: Shamir Tandon. Read the lyrics above and view the Umar 2006 album song list for more songs and album details.