Khamosh Sa Afsaana Lyrics, Singer & Song Details

Libaas 1988 album cover

Libaas 1988 Album Details

Gulzar
Rahul Dev Burman
Gulzar
Shabana Azmi, Naseeruddin Shah, Raj Babbar, Sushma Seth, Utpal Dutt

album songs
Khamosh Sa Afsaana
Singer : Lata Mangeshkar, Suresh Wadkar

Khamosh Sa Afsaana Lyrics

Song Title = Khaamosh Sa Afsaana
Movie/Album = Libaas (1988)
Singer(s) = Lata Mangeshkar, Suresh Wadkar
Song Lyricists = Gulzar
Music Composer = Rahul Dev Burman
Director = Gulzar
Music Label = Saregama

Mp3 Song Lyrics

((Da da da da di da da, da da da da di da da - 4
LATA
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota - 2
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana
La la la la, la la la la

Dil ki baat na poochho, dil to aata rahega - 2
Dil bahekaata raha hai, dil bahekaata rahega
Dil ko tumne, oh, kuch samjhaaya hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana

Sehme se rehte hai jab yeh din dhalte hai - 2
Ek diya bujhta hai, ek diya jalta hai
Tumne koi, oh, deep jalaaya hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana
SURESH
Kitne saahil dhoonde, koi na saamne aaya - 2
Jab majdhaar mein doobe, saahil thaamne aaya
Tumne saahil, oh, pehle bichhaaya hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana))

Posted by : {Anamika Tyagi}

About Khamosh Sa Afsaana

Khamosh Sa Afsaana is a song from Libaas 1988. It is sung by Lata Mangeshkar, Suresh Wadkar. Lyrics are credited to Gulzar. Music information: Rahul Dev Burman. Read the lyrics above and view the Libaas 1988 album song list for more songs and album details.