Kab Tere Husn Se Inkar Lyrics, Singer & Song Details

Sandhya 1975 album cover

Sandhya 1975 Album Details

None
Khayyam
Jan Nisar Akhtar
Nargis Banu, Bindu, Kamal Kapoor

album songs
Kab Tere Husn Se Inkar
Singer : Mahendra Kapoor

Kab Tere Husn Se Inkar Lyrics

Song Lyrics Title = Kab Tere Husn Se Inkar
Song Lyrics Movie = Sandhya (1975)
Singer = Mahendra Kapoor
Music Director = Khayyam
Lyricist = Jan Nisar Akhtar

Mp3 Song Lyrics

((kab tere husn se inkar kiya hai maine
kab tere husn se inkar kiya hai maine
jindagi tujhse bahut pyar kiya hai maine

muskurati hai kisi aankh me kajal banke
kisi ke dhadak uthti hai aachal banke
kabhi phulo ke kataro se chalak jati hai
kabhi shole kabhi shabnam se
lapak jati hai
kaise kaise tera didar kiya hai maine
kaise kaise tera didar kiya hai maine

tu har ek rang har ek say me
najar aati hai
jarre jarre se kiran bankar
ubhar aati hai
tere jadu teri khusbu teri muskano ko
tere umade hue machale hue
toofano ko
apni sanso me giraftar kiya hai maine
jindagi tujhse bahut pyar kiya hai maine

tujhko chaha to magar koi takaja na kiya
maine bhule se tere pyar ko ruswa na kiya
ye bata maine kabhi tujhse churai aankhe
tere chehre se kaha maine hatai aankhe
mujhko kab tera gunehgar kiya hai maine
jindagi tujhse bahut pyar kiya hai maine

maut aayegi to ek pal ki
na fursat degi
maut aayegi to ek pal ki
na fursat degi
sans lene ki bhi kambakt
na mohlat degi
jite jee kisliye phir aapko
nasad kare
jite jee kisliye phir aapko
nasad kare
jindagi ek bhi pal kyu tera barbad kare
lamha lamha ye ikrar kiya hai maine
jindagi tujhse bahut pyar kiya hai maine
jindagi tujhse bahut pyar kiya hai maine..))

Posted by : {Ritu Kesharwani}

About Kab Tere Husn Se Inkar

Kab Tere Husn Se Inkar is a song from Sandhya 1975. It is sung by Mahendra Kapoor. Lyrics are credited to Jan Nisar Akhtar. Music information: Khayyam. Read the lyrics above and view the Sandhya 1975 album song list for more songs and album details.