Ek Din Aap Ko Lyrics, Singer & Song Details

Sharafat 1970 album cover

Sharafat 1970 Album Details

Asit Sen
None
None
Ashok Kumar, Dharmendra, Hema Malini

album songs
Ek Din Aap Ko
Singer : Asha Bhosle

Ek Din Aap Ko Lyrics

Song Title = Ek Din Aap Ko
Movie/Album Name = Sharafat (1970)
Singer(s) = Asha Bhosle

Mp3 Songs Lyrics

((main manaaun bhala kis tarah aap ko
mere ruuthe hue meharbaan aap hai
husn ki yeh kali jiske mann mein khili
uske mann ke aji baagbaan aap hai

(ek din aapko yaad kiye magar
aaj bhuli hui ek kahani hai yeh) - 2
aaj ke roj hi aap aur hum mile
par mulakat kitni purani hai yeh
ek din aapko yaad kiye magar
aaj bhuli hui ek kahani hai yeh
ek din aapko

aap shayad mujhe na aaj pehchaane - 2
aapki hi likhi ek taqdeer hu
aapka rang hai aapka ruup hai - 2
aapki hi banayi main tasveer hu
(mere rukh pe koi daag hai toh aji
di hui aap hi ki nishaani hai yeh) - 2
ek din aapko

main toh paida hui thi sahreefon ke ghar - 2
iss sharafat ko iljaam jisne diya
nek aurat hu main band parwar mujhe - 2
yu tawaif ka yeh naam jisne diya
(woh meharbaan kahi aap hi toh nahi
jis meharbaan ki meharbaani hai yeh) - 2
ek din aapko

beizzati ke siwa bebasi ke siwa - 2
aur jisko kisine sambhala nahi
jiski baraat galiyon se gujri nahi -2
jisko baabul ne doli mein dala nahi
(jisko taqdeer ne laake bazaar mein
bech dala meri woh jawani hain yeh) - 2
aaj ke roj hi aap aur hum mile
par mulakaat kitni purani hai yeh
(ek din aapko yaad kiye magar
aaj bhuli hui ek kahani hai yeh)) - 2

Posted by : {Ritu Kesharwani}

About Ek Din Aap Ko

Ek Din Aap Ko is a song from Sharafat 1970. It is sung by Asha Bhosle. Lyrics are credited to None. Music information: None. Read the lyrics above and view the Sharafat 1970 album song list for more songs and album details.