Dulhan Chali Ho Pahen Chali Lyrics, Singer & Song Details

Purab Aur Pachhim 1970 album cover

Purab Aur Pachhim 1970 Album Details

Manoj Kumar
Anandj, Kalyanji
Indeevar
Ashok Kumar, Saira Banu, Manoj Kumar, Pran, Nirupa Roy, Prem Chopra, Vinod Khann

album songs
Dulhan Chali Ho Pahen Chali
Singer : Mahendra Kapoor

Dulhan Chali Ho Pahen Chali Lyrics

Song Title = Dulhan Chali Ho Pahen Chali
Movie/album = Purab Aur Pachhim (1970)
Singers = Mahendra Kapoor
Song Lyricists = Indeevar
Music Director = Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Director = Manoj Kumar
Music Label = Saregama

Mp3 Song Lyrics

((Purab mein, suraj ne chhedi, jab kirno ki shehnaai
Chamak uthha sindoor gagan pe, pachchim tak laali chhaayi
Hmmhmm

Dulhan chali, haan pahen chali,
Ho re dulhan chali, ho pahen chali teen rang ki choli
Baagon mein laheraaye ganga jamuna, dekh ke duniya doli
Dulhan chali, ho pahen chali teen rang ki choli
Aaho

Taaj-mahal jaisi taaza hai surat
Chalti phirti ajanta ki murat
Mel milaap ki mehandi rachaaye balidaanon ki rangoli
Dulhan chali
Ho pahen chali teen rang ki choli
Ho

Aur sajegi abhi aur sawregi
Chadhhti umariya hai aur nikhregi
Apni aazaadi ki dulhaniya deep ke upar holi
Dulhan chali
Ho pahen chali teen rang ki choli
Baagon mein laheraaye ganga jamuna, dekh ke duniya doli
Dulhan chali
Ho pahen chali teen rang ki choli

Desh prem hi azaadi ki dulhaniya ka war hai
Is albeli dulhan ka sindoor suhaag amar hai
Maata hai kasturba jaisi baabul gandhi jaise

Baabul gandhi jaise
Chaacha iske nehru shaastri daren na dushman kaise
Daren na dushman kaise
Veer shivaaji jaise viren, lakshmi baai behna
Lakshman jis ke bodh bhagat singh, uska phir kya kehna

Uska phir kya kehna
Jiske liye jawaan baha sakte hain khoon ki ganga
Jiske liye jawaan baha sakte hain khoon ki ganga
Aage peechhe teenon sena le ke chalen tiranga
Sena chalti hai le ke tiranga
Sena chalti hai le ke tiranga

Ho koyi hum praant ke vaasi ho koyi bhi bhaasha-bhaashi
Sabse pehle hain bhaaratvaasi
Sabse pehle hain bhaaratvaasi
Sabse pehle hain bhaaratvaasi
Sabse pehle hain bhaaratvaasi
Sabse pehle hain bhaaratvaasi.))

Posted By : {Anamika Tyagi}

About Dulhan Chali Ho Pahen Chali

Dulhan Chali Ho Pahen Chali is a song from Purab Aur Pachhim 1970. It is sung by Mahendra Kapoor. Lyrics are credited to Indeevar. Music information: Anandj, Kalyanji. Read the lyrics above and view the Purab Aur Pachhim 1970 album song list for more songs and album details.