Din Raat Jafaayen Karte Hai Lyrics, Singer & Song Details

Rukhsana 1955 album cover

Rukhsana 1955 Album Details

R C Talwar
Sajjad Hussain
Khumar Barabankvi
Kishore Kumar, Meena Kumari, Shammi, Kum Kum

album songs
Din Raat Jafaayen Karte Hai
Singer : Asha Bhosle

Din Raat Jafaayen Karte Hai Lyrics

Song Title = Din Raat Jafaayen Karte Hai
Movie/album = Rukhsana (1955)
Singers = Asha Bhosle
Song Lyricists = Khumar Barabankvi
Music Director = Sajjad Hussain
Director = R.C. Talwar

Mp3 Song Lyrics

((Din raat jafaayein karte hain
Dil leke sadaa tadpaate hain
Phir bhi hamen pyaar aa jata hai
Jab saamne wo aa jaate hain
Phir bhi hamen pyaar aa jata hai
Jab saamne wo aa jate hain
Din raat jafaayein karte hain
Dil leke sadaa tadpaate hain

Khaate hain baraabar ham qasmein
Jaayenge na unki mehfil mein
Jaayenge na unki mehfil mein
Jaayenge na unki mehfil mein
Betaab ye dil ko kya kahiye
Betaab ye dil ko kya kahiye
Khud paaon udhar uthh jate hain

Ham roz irada karte hain
Ham roz irada karte hain
Keh daalenge haal e dil apnaa
Haal e dil apnaa aaaa aaaa
Jab unse nigaahein milti hain
Dil thhaam ke ham rah jaate hain
Din raat jafaayen karte hain
Dil leke sadaa tadpaate hain
Phir bhi hamein pyaar aa jata hai
Jab saamne wo aa jaate hain

Aaghaaz ye hai jab ulfat kaa
Anjaam na jaane kya hoga
Anjaam na jaane kya hoga
Ham unko bhulaate hain jitna
Utna wo hamein yaad aate hain
Din raat jafaayein karte hain
Dil leke sadaa tadpaate hain
Phir bhi hamen pyaar aa jaataa hai
Jab saamne wo aa jaate hain..))

Posted by : {Ritu Kesharwani}

About Din Raat Jafaayen Karte Hai

Din Raat Jafaayen Karte Hai is a song from Rukhsana 1955. It is sung by Asha Bhosle. Lyrics are credited to Khumar Barabankvi. Music information: Sajjad Hussain. Read the lyrics above and view the Rukhsana 1955 album song list for more songs and album details.