Dil Ki Awaz Bhi Sun Lyrics, Singer & Song Details

Humsaya 1968 album cover

Humsaya 1968 Album Details

Joy Mukherjee
Omkar Prasad Nayyar
Shamsul Huda Bihari
Mala Sinha, Joy Mukherjee, Sharmila Tagore

album songs
Dil Ki Awaz Bhi Sun
Singer : Mohammed Rafi

Dil Ki Awaz Bhi Sun Lyrics

Song Lyrics Title = Dil Ki Awaz Bhi Sun
Song Lyrics Movie = Humsaya (1968)
Singer = Mohammed Rafi
Song Lyricists = Shamsul Huda Bihari
Music Director = Omkar Prasad Nayyar
Director = Joy Mukherjee

Mp3 Song Lyrics

((dil ki awaaz bhi sun
mere fasaane pe na ja
meri nazron ki taraf dekh
zamaane pe na ja

dil ki awaaz bhi sun
mere fasaane pe na ja
meri nazron ki taraf dekh
zamaane pe na ja
dil ki awaaz bhi sun

ik nazar dekh le
ik nazar dekh le
jeene ki ijaazat de de
roothne waale wo pehli si
muhabbat de de

ik nazar dekh le
jeene ki ijaazat de de
roothne waale wo pehli si
muhabbat de de

ishq masoom hai
ishq maasoom hai
ilzaam lagaane pe na ja
meri nazron ki taraf dekh
zamaane pe na ja
dil ki aawaaz bhi sun

waqt insaan pe
waqt insaan pe
aisa bhi kabhi aata hai
raah mein chhod ke
saaya bhi chala jaata hai

waqt insaan pe
aisa bhi kabhi aata hai
raah mein chhod ke
saaya bhi chala jaata hai

din bhi nikalega kabhi
din bhi nikalega kabhi
raat ke aane pe na ja
meri nazro ki taraf dekh
zamaane pe na ja
dil ki awaaz bhi sun

main haqeeqat hoon
main haqeeqat hoon
ye ik roz dikhaunga tujhe
begunahi pe muhabbat ki
rulaunga tujhe

main haqeeqat hoon
ye ik roz dikhaunga tujhe
begunahi pe muhabbat ki
rulaunga tujhe
daag dil ke nahi
daag dil ke nahi
mite hain mitaane pe na ja

meri nazro ki taraf dekh
zamaane pe na ja
dil ki aawaaz bhi sun
mere fasaane pe na ja
meri nazro ki taraf dekh
zamaane pe na ja..))

Posted by : {Anamika Tyagi}

About Dil Ki Awaz Bhi Sun

Dil Ki Awaz Bhi Sun is a song from Humsaya 1968. It is sung by Mohammed Rafi. Lyrics are credited to Shamsul Huda Bihari. Music information: Omkar Prasad Nayyar. Read the lyrics above and view the Humsaya 1968 album song list for more songs and album details.