Banai Hai Itni Badi Jisne Lyrics, Singer & Song Details

Shisham 1952 album cover

Shisham 1952 Album Details

Kishore Sharma
Roshanlal Nagrath
Kaif Irfani
Nasir Khan, Nutan, Gope

album songs
Banai Hai Itni Badi Jisne
Singer : Lata Mangeshkar

Banai Hai Itni Badi Jisne Lyrics

Song Title = Banai Hai Itni Badi Jisne
Movie/Album = Shisham (1952)
Singers = Lata Mangeshkar
Song Lyricists = Kaif Irfani
Music Composer = Roshanlal Nagrath (Roshan)
Director = Kishore Sharma

Mp3 Song Lyrics

((Banayi hai itni badi jisne duniya
Use tute dil ka banana na aayaa
Banaanaa na aayaa
Juda to kiya usane hamako milaakar
Juda kar diya to milana na aayaa
Milana na aayaa

Suna hai ke usane sitaare banaye
Suna hai ke usane sitaare banae
Diye saikado aasmaan par jalaaye
Aasmaan par jalaaye
Bujha jo hamaara chiraag e tamanna
Use ye diyaa to jalana na aayaa
Jalana na aayaa

Ye aaho ke shole ye ashqo ki ladiyan
Ye aaho ke shole ye ashqo ki ladiyan
Ye roti si aankho mein sawan ki jhadiyan
Sawan ki jhadiyaan
Jigar mein lagaa di hai ye aag kisane
Ke daaman bhi hamako bachana na aayaa
Bachana na aayaa

Banayi hai itni badi jisne duniya
Use tute dil ka banana na aayaa
Banana na aayaa.))

Posted by : {Anamika Tyagi}

About Banai Hai Itni Badi Jisne

Banai Hai Itni Badi Jisne is a song from Shisham 1952. It is sung by Lata Mangeshkar. Lyrics are credited to Kaif Irfani. Music information: Roshanlal Nagrath. Read the lyrics above and view the Shisham 1952 album song list for more songs and album details.