Aur Bhala Mai Kya Mangu Lyrics, Singer & Song Details

Thanedaar 1990 album cover

Thanedaar 1990 Album Details

Raj N. Sippy
Bappi Lahiri
Indeevar
Sanjay Dutt, Jeetendra, Madhuri Dixit, Jayapradha

album songs
Aur Bhala Mai Kya Mangu
Singer : Lata Mangeshkar, Pankaj Udhas

Aur Bhala Mai Kya Mangu Lyrics

Song Title = Aur Bhala Mai Kya Mangu
Movie/Album = Thanedaar (1990)
Singers =Lata Mangeshkar, Pankaj Udhas
Song Lyricists =Indeevar
Music Director =Bappi Lahiri
Director =Raj N. Sippy

Mp3 Song Lyrics

((Aur bhala kya mangu main rab se
Mujhe tera pyar mila
Aur bhala kya mangu main rab se
Mujhe tera pyar mila

Sab kuchh pa liya ek tujhe paake
Bechain dil ko karar mila
Aur bhala kya mangu main rab se
Mujhe tera pyar mila
Oh o mujhe tera pyar mila

Apni wafao ka gul khila hai janam
Kitna hasin yeh silsila hai janam
Tere liye hi jivan mila hai janam
Dil ki duao ka yeh shila hai janam
Janmo maine mangi murade
Tab aisa dildar mila
Aur bala kya mangu main rab se
Mujhe tera pyar mila
Oh o mujhe tera pyar mila

Tere kadam jameen pe pade na sathi
Main dil bichha du kaante gade na sathi
Karte rahoge sathi jo pyar aise
Mujhko lagenge kaante bhi phool jaise
Tu jo gayi hai raho se hoke
Patjhad bhi guljar mila
Aur bhala kya mangu main rab se
Mujhe tera pyar mila
Ho o mujhe tera pyar mila

Chaha tujhe hai maine ki teri pujaa
Tere siva na mera khuda hai duja
Tera hi naam le ke mujhe hai jeena
Honge juda o sathi mere kabhi na
Tu jo mila to aisa laga ki sapno ka sansar mila
Aur bhala kya mangu main rab se
Mujhe tera pyar mila
Sab kuchh pa liya ek tujhe paake
Bechain dil ko karar mila
Aur bhala kya mangu main rab se
Mujhe tera pyar mila
Ho o mujhe tera pyar mila
Ho o mujhe tera pyar mila.))

Posted by : {Anamika Tyagi}

About Aur Bhala Mai Kya Mangu

Aur Bhala Mai Kya Mangu is a song from Thanedaar 1990. It is sung by Lata Mangeshkar, Pankaj Udhas. Lyrics are credited to Indeevar. Music information: Bappi Lahiri. Read the lyrics above and view the Thanedaar 1990 album song list for more songs and album details.