Agar Mein Kahoon Lyrics, Singer & Song Details

Lakshya 2004 album cover

Lakshya 2004 Album Details

Farhan Akhtar
Ehsaan, Loy, Shankar
Javed Akhtar
Hrithik Roshan, Preity Zinta, Amitabh Bachchan

album songs
Agar Mein Kahoon
Singer : Alka Yagnik, Udit Narayan

Agar Mein Kahoon Lyrics

Song Title = Agar Mein Kahoon
Movie/Album = Lakshya (2004)
Singer = Alka Yagnik, Udit Narayan
Music Director(s) = Ehsaan, Loy, Shankar
Lyricist(s) = Javed Akhtar

Mp3 Song Lyrics

((Agar main kahoon mujhe tumse mohabbat hai
Meri bas yehi chaahat hai toh kya kahogi) -2

Main tumse kahoongi, is baat ko agar tum
Zara aur saja ke kehte, zara ghooma-phira ke kehte
Toh achcha hota

Agar main kahoon
Tumko jab dekhoon lagti ho jaise nayi
Honthh hain pankhadi phool ki
Aankhein jaise jugnu chamke huwe
Soche mera ye dil dhadakte huwe
Agar main kahoon
Agar main kahoon ye jo chehra hai
Jaise koyi chaand hai toh kya kahogi

Main tumse kahoongi
Mujhko bhoole se bhi chaand tum na kaho
Chaand mein toh kayin daag hai
Mujhe phool na kehna woh murjhaate hain
Jugnu bhi na kehna woh kho jaate hain
Ye baatein puraani hai, jo mujhko sunaani hai
Kissi aur adaa se kehte, zara ghooma-phira ke kehte
Toh achcha hota

Agar main kahoon mujhe tumse mohabbat hai
Meri bas yehi chaahat hai toh kya kahogi

Agar main kahoon
Baatein sunke tumhaari main hairaan hoon
Jo bhi kehna hai kaise kahoon
Lagta tumhein kuchh bhi achcha nahin
Sach ko bhi kehti ho sachcha nahin

Agar main kahoon..
Agar main kahoon tumhein pata nahin hai kyun
Hai pyaar mujhe bhi tumse toh kya kahoge

Main tumse kahoonga, mere dil ka hai ye kehna
Ham ko hai saath mein rehna
Ye dono ke dil mein hai na toh phir kyun kehna

Agar main kahoon
Toh main tumse kahoongi ..))

Posted by : {Anamika Tyagi}

About Agar Mein Kahoon

Agar Mein Kahoon is a song from Lakshya 2004. It is sung by Alka Yagnik, Udit Narayan. Lyrics are credited to Javed Akhtar. Music information: Ehsaan, Loy, Shankar. Read the lyrics above and view the Lakshya 2004 album song list for more songs and album details.