Aaye Khuda Dard Ye Gum Lyrics, Singer & Song Details

Tum Hi To Ho 2011 album cover

Tum Hi To Ho 2011 Album Details

Sanjay Goel
None
None
Madhavi Sharma, Jackie Shroff, Kishori Shahane, Sarvar Ahuja, Vishwajeet Pradhan

album songs
Aaye Khuda Dard Ye Gum
Singer : Kunal, Gayatri Ganjawala

Aaye Khuda Dard Ye Gum Lyrics

Song Title = Aaye Khuda Dard Ye Gum
Movie/Album = Tum Hi To Ho (2011)
Singers = Kunal, Gayatri Ganjawala

Mp3 Song Lyrics

((Aey Khuda, Dard-o-gham Ka Silsila
Aaj Isi Dam Torr De
Zindagi, Lamha Lamha Mat Jala
Mera Daaman Chod De
Saans Lena Lage Ab Saza
Kya Karunga Main Jee Ke, Bata
Kya Karunga Main Jee Ke, Bata

Koi Hum Safar Na Koi Hum-nawa
Palkon Mein Chubhe Bas Yaadon Ka Dhuwaan
Koi Hum Safar Na Koi Hum-nawa
Palkon Mein Chubhe Bas Yaadon Ka Dhuwaan
Dil Mein Kuch Nahi Zakhmon Ke Siwa
Nakaam Hogai Har Dawa, Har Dua
Gham Kiye Hain Khushi Ne Ataa
Kya Karunga Main Jee Ke, Bata
Kya Karunga Main Jee Ke, Bata

Ruk Jaey Saanson Ka Silsila
Dil Dharakna Chod De
Pyaar Mera, Jaana Jis Din Tujhe
Pyaar Karna Chod De
Main Jiyun Tujh Se Ho Ke Judaa
Na Dikhaey Yeh Woh Din Khuda
Na Dikhaey Yeh Woh Din Khuda

Jab Bhi Tasawwur Tera Hota Hai Mere Pehlu Mein
Teri Khushbooain Mere Saanson Mein Utar Jaati Hain
Meri Tanhaiyaan Jab Aati Hain Tere Qareeb
Khuwaahishain Sabr Ki Sarhad Se Guzar Jaati Hain

Haan
Aray Aray ArayYeh Kya Kiya Tum Ne
Main Yeh Chaahta Hun Ke Yeh Hawaeyn, Yeh Fizaeyn Sab Jaan Le
Ke Tum Kitni Khub-surat Ho

Lamha Lamha Tera Ehsaas Mujhe Choota Hai
Rafta Rafta Main Tere Rang Mein Dhal Jaati Hun
Main Tujhe Apne Khayaalon Mein Bula Kar Aksar
Jannaton Se Bhi Kahin Door Nikal Jaati Hun

Tum Ne Aisa Kiyun Kiya
Main Chaahti Hun Ke Yeh Hawaeyn, Yeh Fizaeyn Yeh Jaan Le
Ke Tum Mere Liye HoTum Hi To Ho

Baanhon Mein Teri Meri Raatain Hon Basar
Jaagun Har Seher Bas Tujh Ko Dekh Kar
Baanhon Mein Teri Meri Raatain Hon Basar
Jaagun Har Seher Bas Tujh Ko Dekh Kar
Main Tere Ishq Mein Khud Se Hun Bekhabar
Bin Tere Bin Tere Kuch Na Aey Nazar
Teri Chaahat Ho Mujh Se Khafa
Na Dikhaey Yeh Woh Din Khuda
Na Dikhaey Yeh Woh Din Khuda))

Posted by : {Anamika Tyagi}

About Aaye Khuda Dard Ye Gum

Aaye Khuda Dard Ye Gum is a song from Tum Hi To Ho 2011. It is sung by Kunal, Gayatri Ganjawala. Lyrics are credited to None. Music information: None. Read the lyrics above and view the Tum Hi To Ho 2011 album song list for more songs and album details.