Aao Sunata Hoon Sabko Lyrics, Singer & Song Details

Bal Ganesh 2007 album cover

Bal Ganesh 2007 Album Details

Pankaj Sharma
Shamir Tandon
Shabbir Ahmed
N/A

album songs
Aao Sunata Hoon Sabko
Singer : Lavanya, Siddhant Bhosle

Aao Sunata Hoon Sabko Lyrics

Song Title = Aao Sunata Hoon Sabko
Movie/album = Bal Ganesh (2007)
Singers = Lavanya, Siddhant Bhosle, Hariharan, Ketki Dave
Song Lyricists = Shabbir Ahmed
Music Director = Shamir Tandon
Director = Pankaj Sharma
Music Label = Shemaroo


Mp3 Song Lyrics

((Aao sunata hu sabko aaj ek kahani
Aao sunata hu sabko aaj ek kahani
Shayad lage nayi tumko, par hai sadiyo purani
Shayad lage nayi tumko, par hai sadiyo purani
Aao sunata hu sabko aaj ek kahani
Shayad lage nayi tumko, par hai sadiyo purani
Aao sunata hu sabko aaj ek kahani

Kaise jab nandi ne maa parvati ka na mana aadesh
Kaise jab nandi ne maa parvati ka na mana aadesh
Toh mane phir kaise banaya apna ganesh
Apna bal ganesh, apna bal ganesh
Kaunsa aadesh? Kaise bane ganesh? Kya huwa?
Sab batata hu, pehle sare bolo
Om ganeshay namah, om ganeshay namah
Om ganeshay namah, om ganeshay namah
Om ganeshay namah, om ganeshay namah
Om ganeshay namah, om ganeshay namah
Om ganeshay namah, om ganeshay namah

Maa parvati jab jati thi nahane, toh nandi karta peheredari
Sabko tha woh rok leta, par chup rehta shiv ki jab aaye sawari
Shiv jo chale aaye andar, parvati huyi behad naraj
Par nandi tha bail shiva ka unke aage bilkul be-aawaz
Phir kya huwa? Parvati ke mann me ek chah uthi
Kash koi hota mera jise main karti pyar
Jo manta meree bate, mujhpe ho jata nisar
Kyun na main khud hi banau use, dil ka ho ek tukda
Mere hi jaisa ho uska rang, mere hi jaisa ho mukhada
Ganesh? Haan
Phir, phir, phir parvati ne gadha aur racha ik balak vishesh
Apne mail se banaya apna pyara ganesh

Achhi kahani hai par, kuchh toh gadbad ghotala hai bhai
Maa parvati ne kya aisi thi balak ki surat banayi
Na sund, na kan hathi ke, kaisa hai iss balak ka bhes
Hai yeh nahi, hai yeh nahi, hai yeh nahi hamara ganesh
Bal ganesh ko hathi ka munh kaise mila
Woh ek aur kahani hai woh phir kabhi sunau
Aaj suni hai ham sab ne badhiya ek kahani
Lagti hai jo nayi nayi, par hai sadiyo purani
Aao sunata hu sabko aaj ek kahani
Aao sunata hu sabko aaj ek kahani
Shayad lage nayi tumko par hai sadiyo purani
Aao sunata hu sabko aaj ek kahani.))


Posted by : {Anamika Tyagi}

About Aao Sunata Hoon Sabko

Aao Sunata Hoon Sabko is a song from Bal Ganesh 2007. It is sung by Lavanya, Siddhant Bhosle. Lyrics are credited to Shabbir Ahmed. Music information: Shamir Tandon. Read the lyrics above and view the Bal Ganesh 2007 album song list for more songs and album details.